LakaR-haaraa
tilmilaa gaya tha woh
kulahaaRii ki chot se
“kamzarf raham kar
buuRhaa daraKhta huN
thoRii to sharm kar!”
Khamosh tha nazaraa
ik thaa woh lakaR-haaraa
Gardish meN din the uske,
lambii siyaah raateN
rafta rafta phir bhi
guzarta tha waqt saaraa
aKhir to tha bas usko
mehnat ka ik sahaaraa
“muafii ho mujh ko baba,
kya dard hai ziyadah?
bayaaN phir bhi kar do lekiN
kya jurm hai hamaaraa?
karta huN chot jis par
saR-gal rahiiN thi shaaKheN
is ke baghair warnaa
yaqeeN tha teraa ujaRnaa
Ghar jurm hai yeH tujh par
sad-laanateN hoN mujh par
bhai magar samjh le
mere waqt ho chala hai
ab daur machinoN ka
aanee ko mukhtasar hai
ab daur machinoN ka
aanee ko mukhtasar hai
Soch le bhaii...
tera kyaa hasr hogaa
रात 12 बजे चंडाखाल की सैर
-
चंद रोज़ क़बल मोहतरम मोनू साहिब की श्री बडोलगांव आमद हुई। जनाब 3 किलो
मुर्गा लेकर हाज़िर हुए और फर्माइश की कि मुर्गा भड्डू मे ज़ेर-ए-आसमान पकाया
जाय। जना...
4 months ago

